Adaa Hai Khwaab Hai, Takseem Hai

 



Adaa Hai Khwaab Hai, Takseem Hai, Tamasha Hai,


Teri In Aankhon Mein Ek Shakhs Be-tahasa Hai.




अदा है, ख्वाब है, तकसीम है, तमाशा है,


तेरी इन आँखों में एक शख्स बे-तहाशा है।




Ye Adaayen, Ye Muskurahat, Ye Mast Nigaahen Aapki,


Naqaab Odh Lijiye, Kahin Hum Ujad Na Jaayen.




ये अदाए, ये मुस्कराहट, ये मस्त निगाहें आपकी,


नकाब ओढ़ लिजिये, कही हम उजड़ ना जाए।




Jheel Achha, Kanwal Achha Ke Jaam Achha Hai,


Teri Aankhon Ke Liye Kaun Sa Naam Achha Hai.




झील अच्छा, कँवल अच्छा के जाम अच्छा है,


तेरी आँखों के लिए कौन सा नाम अच्छा है।




Sochte Hi Rahe Poochhenge Teri Aankho Se Ai Sanam,


Kis Se Seeekha Hai Hunar Dil Me Utar Jaane Ka,




सोचते ही रहे पूछेंगे तेरी आँखों से ऐ सनम,


किस से सीखा है हुनर दिल में उतर जाने का।




Also, Read - 


Love Shayari In Hindi


Good Morning Shayari


Love Shayari In Hindi


Heart Touching Shayari




Teri Aankhon Mein Bahut Der Tak Koi Aks Nahi Rahta,


Tera To Pata Nahi Tujhse Mil Kar Main Mujhsa Nahi Rahta.




तेरी आँखों मैं बहुत देर तक कोई अक्स नहीं रहता,


तेरा तो पता नहीं तुझसे मिल कर मैं मुझसा नहीं रहता।




Kabhi Paigam Liya Hai Kabhi Paigam Diya Hai,


Aankhon Ne Mohabbat Mein Bada Kaam Kiya Hai.




कभी पैगाम लिया है कभी पैगाम दिया है,


आँखों ने मोहब्बत में बड़ा काम किया है।




Mere Honthhon Ne Har Baat Chhupa Rakhi Thi,


Aankhon Ko Ye Hunar Kabhi Aaaya Hi Nahin.




मेरे होठों ने हर बात छुपा कर रखी थी,


आँखों को ये हुनर कभी आया ही नहीं।




Mujhse Kahti Thi Wo Sharabi Aankhen,


Aap Wo Jahar Mat Piya Kijiye.




मुझ से कहती थी वो शराबी आँखे,


आप वो जहर मत पिया कीजिये।




Naqab To Unka Sir Se Paao Tak Tha,


Par Aankhen Bata Rahi Thi Ki Mohabbat Ka Shaukeen Wo Bhi Thi.




नकाब तो उनका सिर से लेकर पाँव तक था,


मगर आँखें बता रही थी कि मोहब्बत की शौकीन वो भी थी।




Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kayi Iss Jahan Ke,


UsKi Haseen Aankhon Mein Jab Jhankta Hoon Main.




खुलते हैं मुझ पे राज कई इस जहान के,


उसकी हसीन आँखों में जब झाँकता हूँ मैं




Sirf Lafzo Ko Na Suno, Kabhi Aankhen Bhi Padho,


Kuchh Sawaal Bade Khuddaar Hua Karte Hain.




सिर्फ लफ़्ज़ों को न सुनो, कभी आँखें भी पढो,


कुछ सवाल बड़े खुद्दार हुआ करते है।




Ye Soch Ke Nazren Milata Hi Nahin,


Ki Aankhen Kaheen Zajbaat Ka Izhaar Na Kar Den.




ये सोच के नज़रें मिलाता ही नहीं,


कि आँखें कहीं ज़ज्बात का इज़हार न कर दें।




Sukun Ki Talash Me Tumhari Aankhon Me Jhaka Tha Humne,


Kise Pata Tha Kambakht Dil Ka Dard Aur Mil Jayega.




सुकून की तलाश में तुम्हारी आँखों में झाँका था हमने,


किसे पता था कम्बखत दिल का दर्द और मिल जाएगा।




Yun Hi Gujar Jaati Hain Shaame Anjuman Me Tumhari,


Kuchh Teri Aankho Ke Bahane Kuchh Teri Baato Ke Bahane.




यूँ ही गुजर जाती है शामें अंजुमन में तुम्हारी,


कुछ तेरी आँखों के बहाने कुछ तेरी बातो के बहाने।




Tumhri Nigahen Bahut Bolti Hain,


Jara Apni Aankhon Par Palko Kr Parde Gira Do.




तुम्हारी निगाहें बहुत बोलती हैं


जरा अपनी आँखों पे पलकों के परदे गिरा दो।




Shor Na Kar Dhadkan Jara, Tham Ja Kuch Pal Ke Liye,


Badi Mushkil Se Meri Aankhon Me Uska Khwab Aaya Hai.




शोर न कर धड़कन ज़रा, थम जा कुछ पल के लिए,


बड़ी मुश्किल से मेरी आखों में उसका ख्वाब आया है।



Comments